"Bohat Farsuda Lagtey Hain Mujhey Ab Yaar Key Qissay,
Gul-O-Gulzar Ki Baatein Lab-0-Rukhsaar Key Qissay,
Yahan Sab Key Muqaddar Mein Faqat Zakhm-E-Judai Hai,
Sabhi Jhootey Fasaaney Hain Wisaal-E-Yaar Key Qissay,
Bhala Ishq-O-Mohabbat Say Kisi Ka Pait Bharta Hai.? Suno.!
Tum Ko Sunata Hun Mein Karobaar Key Qissay,
Merey Ehbab Kehtey Hain Yehi Ik Aib Hai Mujh Mein,
Sar-E-Dewaar Likhta Hun Pas-E-Dewaar Key Qissay,
Mein Aksar Is Liye Logon Sey Jaa Kar Khud Nahi Milta, Wohi Bekaar Ki Baatein, Wohi Bekar Key Qissay."

0 comments:
Post a Comment